Monday, December 12, 2011

Tumne to saath chalne ka vada kiya tha


Tum Pass raho ya na raho,
Tumhe dekhun ya na dekhun,
Tumse milun ya na milun,
Tumhaari dhadkanein hamesha mere kaano me sunayi degi,
Tumhaare hone ka ahsaas hamesha yun hi hota rahega ...
Jaise sadiyon se tum mere saath ho !

Tum Yaadon me aao na aao,
Tum rulao ya hasao,
Tum kaho ya na kaho, teri aahatein yunhi gunjti rahegi
Aasunon ki ek dhaar door uchi pahadiyon se bahti hui
Trishna ko tript kar jaayegi ...
Jaise barshon baad bhi kisi aur ki chah na hogi !

Tumne to saath chalne ka vada kiya tha,
Tumne to har mod pe saath dene ki kasamein khaayi thi,
Sitaron me to ye likha na tha,
Kahaniyon me bhi ye kahi nahi gayi thi
Fir kya ho gaya ... kyun tut gaya ye bandhan.
Kyun ruth gaya tera daaman.

Kaise dur jaaogi tum?
Kaise bhulogi mujhko?
Samjha sakogi dil ko, tanhaaiyon ko kya jawab dogi?
Kaun tumhaari band aankhon me bhi jaagega?
Ye daastan to adhuri rah jaayegi?
Adhure rah jaayenge jajwaat ke har jawab.

0 comments:

Post a Comment

Previous Post Next Post Back to Top